Lautungi Main - Ek Thi Daayan

An haunting song from the horror movie sung by Rekha Bhardwaj, composed by Vishal Bhardwaj and written by non other than Gulzar.
Credits and Details
Film: Ek Thi Daayan
Song: Lautungi Main
Singer: Rekha Bhardwaj
Composer: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Star Cast: Emraan Hashmi, Kalki Koechlin, Huma Qureshi, Konkona Sen Sharma
Music Label: Sony Music
Lyrics
Sehmi sehmi raaton mein...
Sehmi sehmi chalti hoon...

Sehmi sehmi raaton mein...
Sehmi sehmi chalti hoon...

Lautungi main tere liye...
Tere liye jaaneya ve...
Sehmi sehmi raaton mein...
Sehmi sehmi chalti hoon...
Lautungi main tere liye...
Tere liye...

Kaali amaavas ke peechhe khadi hoon main...
Saalon ke jaalon mein...
Kab se padi hoon main...
Bechain hoon, tere liye...
Ho.. jaaneya, jab doobega din...
Diya jalana tum...
Aawaaz de ke phir mujhko bulana tum...
Lautungi main tere liye jaaneya ve...

Tere liye saathi mere...
Jaaneya ve...

Veeraan pedon ke saaye jab chalte hain...
Maasoom roohon ko andhere daste hain...
Darti hoon main tere liye...
O ho jaaneya...
Jab raatein pighlein okh lagana tum...
Aakash ka koi kona uthaana tum...
Lautungi main tere liye jaaneya ve...
Tere liye saathi mere jaaneya ve...
Music Video
Video not released yet.
will be updated soon 
Share This Post In Your Favourite Social Network

0 comments:

Copyright © 2012 Songs Buzz.